Tuesday, 2 December 2014

Aankhon se to ye karz ada ho nahi sakta....

Mitti me mila de ki juda ho nahi
sakta
Ab is se jyada mai tera ho nahi sakta
Dehleez pe rakh di hain kisi shaksh
ne aankhein
Rausan kabhi itna to diya ho nahi
sakta
Bas tu meri aawaz me aawaz mila de
Phir dekh ki is sehar me kya ho nahi
sakta
Ae maut mujhe tune musibat se
nikala
Sayyaad samajhta tha riha ho nahi
sakth
Is khakbadan ko kabhi pahuncha de
wahan bhi
Kya itna karam Baade saba ho nahi
sakta
Peshani ko sazde bhi ata kar mere
maula
Aankhon se to ye karz ada ho nahi
sakta....

No comments:

Post a Comment