Thursday, 2 October 2014

Haa Wo Tum Hi

Haa Mujhe Usse Pyar Ho Gaya

Ek Pal Mein Na Jaane Kya Ho Gaya

Yun To Main Roz Usse Milta Hoon

Na Jaane Aaj Usse Dekhte Hi Mujhe Kya Ho Gaya

Wo Bhi Mujhse Izhar Kar Na Saki

Main Bhi Naa Jaane Kaha Kho Gaya

Aaj Usne Bahut Pyar Se Poocha Hai

Wo Koun Hai Jisse Tumhe Pyar Ho
Gaya

Main Kaise Usse Kahoo Ke Wo Tum
Hi Ho

Jab Kehna Chaha To Uske Inkar Se
Dar Gaya

Wo Shayad Pyar Karti Hai Mujhse

Na Jaane Kyon Mujhe Ye Guman Ho Gaya

Kahi Aisa Na Ho Ke Isi Intzar
Mein Koi Aakar Kahe Wo Kisi Or Ka Ho Gaya

Na Dar Ae Dil Keh De Aaj Usse Ye
Baat

Haa Wo Tum Hi Ho Jisse Mujhe
Pyar Ho Gaya…

No comments:

Post a Comment