Thursday, 13 November 2014

Khuda Ki Rehmat Hai Humpar Jo Unka Pyaar Mila,

Khuda Ki Rehmat Hai Humpar Jo
Unka Pyaar Mila,
Janaat Se Haseen Kai Yaadon Ka
Uphaar Mila,
Kyun Karen Hum Us Khuda Se Ab Koi
Shikwa Koi Gila,
Jisne Humko Maa Ka Pyar Dilaya Jisko
Paakar Mei Aur Tu Khila….
Kyun Bhool Jaate Hain Hum Us Maa
Ko Waqt Ke Saath-Saath,
Nahin Rehta Humko Unka Koi
Khayaal,
Kya Hota Hoga Us Maa Ke Dil Ka
Haal,
Jisne Hamare Liye Bhula Diya Apna
Har Ek Khwaab….
Kyun Khayaal Nahin Rehta Humko
Unka,
Wo To Bas Har Pal Hamari Yaad Karti
Hai,
Jab Bhi Jaati Hai Kisi Mandir Ya
Masjid Mein,
Sabse Pehle Hamari Salamati Ki Dua
Karti Hai….
Kya Wajood Hoga Hamara Jo Hum
Unko Bhool Jaayen,
Phir Kabhi Tanhai Mei Hum Khud Ko
Hi Tadpaayen,
Roye Hum Behisaab Koi Aanshu
Pauchene Na Aaye,
Khud Ko Yuhin Koste Rahe Aur Bas
Pachtaayen….
Isliye Chaahe Kuch Bhi Ho Aage,
Us Maa Ko Tum Bhool Na Jana,
Mauka Mile Jab Bhi Koi Tumhe,
Us Maa Ko Khushi Diye Jana,
Khushi Ho Ya Gam Ke Baadal,
Sada Khush Rehna Aur muskurana..

No comments:

Post a Comment